Hazrat Syed Shah Fuzail
Rahmatullah Alayh
Mulaf kitaab Aaina Tasawuf ke mutabiq Hazrat Syed Shah Fazeel Qadri Rahmatullah Alayh14 Sifar al Muzafar 871 Hijri baroz chaar shanbah Sultan Behlol Lodhi ke daur mein Sindh mein peda hue.Aap Intahi parhaizgaar aur sahib e karamat buzurag thay .
Hazrat Syed Shah Fazeel Qadri Rahmatullah Alayh ne 14 Rabiey al Akhar 887 Hijri bo waqt Asar Hazrat Syed Shah Gada Rehman Sani Rahmatullah Alayh se khilafat haasil ki .
Hazrat Shah Fazeel Qadri Rahmatullah Alayh ne Hazrat Syed Shah Kamal Qadri Rahmatullah Alayh ke waalid Syed Umar Qadri Rahmatullah Alayh ko Hazrat Shah Kamal Qadri Rahmatullah Alayh ki paidaiesh se kaafi muddat pehlay aik nami graami farzand ki basharat di thi jis ka wilayat mein aala maqam ho ga jo waheed ul asar ho ga. Jab Shah Kamal Qadri Rahmatullah Alayh ki wiladat ho gayi' to Shah Faizul Qadri Rahmatullah Alayh tasreef laaye aur bachay ko goad mein le kar farmaya kay yeh bacha Hazrat Qibla Ghaus Azam Rahmatullah Alayh ki is paseen goi ki hu bahu aur jeeti jaagti tasveer ho ga jo seenah bah seenah chali aa rahi hi. Unhon ne Syed Umar ko Shah Kamaal Rahmatullah Alayh ki khusoosi nighdasht aur taleem o tarbiyat ki hadaayat farmai .
Hazrat Syed Shah Fazeel Qadri Rahmatullah Alayh 17 Muharaam 99 Hiji ko is dar e fani se rukhsat hue. Aap ka mazaar Haider abad Sindh mein waqay hai .
Note :. Aap ke halaat e zindagi ba wajood koshish ke kahin se nahi mil sakay. Qadeem kutub mein jo kuch mila mein ne likh diya. Agar kisi sahib ke paas hon to" rabita karen" ko click karkay hamaray sath rabita qaim karen aur is car e kher mein hissa daar banay. Aap neechay diye gaye e mil address par rabita kar sakte hain.